How To Check Sim Number In Pakistan New Latest Update
Tou Friends Hum Apna Aj Ka Topic Start Karte Hain Sab Se Pehle ap se ye kehna chahunga ager meri is site par new hain tou is pe visit karte rahein aur new updates lete rahein.
How To Check Zong Sim Number
So Friends, ager ap zong ki sim ka number janna chahte hain tou sab se pehle ap call wale option pe click karein. Aur wahan ye code dial karein..!
*100#
Ye dial kar ke ap apna zong ki sim ka number Easily maloom kar sakte hain.
How To Check Ufone Sim Number
Ufone Sim Ka Number Janne Ke Liye Ap Ko Neeche Dia Gya Code Dial karna hoga wo dial karte hi apka number show ho jai ga.
*780*3#
Ye code ap ne dial karna hai ager nahi show ho raha kisi wajah se tou comment main btain.
How To Check Jazz Sim Number
Jazz user ke liye bhi ek asaan sa code hai ager ap ne apna mobilink jazz ki sim ka number maloom karna hai tou neeche dia gya code mila kar ap apni sim ka number jaan sakte hein.
*99#
Ye code milein aur apni sim ka number janiye.
How To Check Telenor Sim Number
Friends Telenor ka sim number check karne ka proces thorha sa lambha ap ko pehle code jo diye main ne baki network sim number check karne ke wo apko call pe ja kar dial karne the lekin ab jo de raha hun telenor ka code ap ko ise SMS ke zariye karna parhe ga.
First Go To SMS Enter Number 7421 Sent to A
Friends is main ap ko sms main jana hoga wahan jane ke baad ap ne 7421 wale number Par capital A likh kar send kar dena hai ap ka number khud hi show hoga.
Conclusion:
Mujhe umeed hai ap ko meri ye choti si post achi laghi hogi aur ager meri ye post ap ko achi lagi hai tou comment main zarur btayein. Aur ager ap ko kisi baat ki bhi samajh nahi ayi tou comment box kis liye hota hai ap wahan mujh se pouch sakte hain.
Friends Apna Comment Add Kare...!