Mobile Se PDF File Kaise Banaye Puri Jankari Step By Step

First Learn Then Earn
0
Mobile Se PDF Kaise Banaye - Friends aj ki is post me ap ko without koi app download kiye online pdf file banane ka tarika btaonga ager friends ap online PDF file banana chahte hain tou is article ko end tak jarur padhe taa ke ap ko ache se samajh asake. Friends jo me ap ko tarika btaonga ap us se ( Doc, xls, ppt, jpg ) ko pdf me convert kar sakte hain. Ye sab kaise hoga ye me ap ko neeche detail me btaonga.

Mobile Se PDF Banane Ki Top 5 Website 

Friends me ap ko pdf me files ko convet karne wali 5 best sites btaonga jin se ap pdf file ko bana sakte hain. Aur jo me apko sites btaonga ye bohat easy sites hain jin se ap easily pdf bana sakte hain.
1. Smallpdf - Ye bhi bohat hi kamal ki site hai jis par ap online pdf file ko bana sakte hain ise use kaise kaise karna hai ye me ap ko btata hun. Sab se pehle ap click kare smallpdf pe jo uper hai.

Step 1:
Click karne ke baad friends ap ke paas wo site open ho jaye gi aur kuch is tarah ka interface deikhne ko mile ga.
Mobile Se PDF Banane Ki Top 5 Website
No 1: Sab se pehle friends ap ne Choose File pe click karna hai. Click karne ke baad ap ke samne 3 aur options show ho jayeinge.

No 2: Ab ager ap apna photo ya kisi ka bhi phota bana kar pdf file me convert karna chahte hain tou ap Take Photo pe click kare.

No 3: Ager ap ki wo file jise ap pdf me convert karna chahte hain wo gallery me hai tou ap ne Photo Library pe click karna hai.

No 4: Aur ager ap ne apne file google drive me rakhi hoi hai tou ap Browse pe click kare.

Step 2:
Apni file select karne ke baad ap ne upload kar dena hai phir ap ki file upload hone ke baad kuch time lage ga uske baad ap ne usey download kar lena hai. Aur ap ki file pdf me convert ho chuki hogi.
Step 3: 
Ab ap ne Download File pe click karna hai phir apki file download ho jaye gi.
2. Freepdfconvert - Ye bhi bohat hi kamal kar tool hai jis ki help se ap apni files ko pdf file me convert kar sakte hain. Is ko bhi use karne ka tarika same hi hai jaise uper me ne btaya lekin. Kuch options different hain. 

Step 1:
Ap ne pehle site ko open kar lena hai uske baad ap ne choose file pe click karna hae ap ko choose file ke saath chota arrow dikhe ga us pe click karna hai ap ne. click karne ke baad ap ke paas ye 3 options show ho raha hunge. Google Drive, Dropbox, Url.

No 1:
Ap ne ager koi bhi file Google Drive me save kar ke rakhi hoi hai aur ap waha se file ko pdf me convert karna chahte hain tou ap google drive pe click kare.

No 2:
Ager ap ki koi file dropbox me save hai aur ap usey pdf me convert karna chahte hain tou ap Dropbox wale option pe click kare.

No 3: 
Ager ap ne internet e koi file deikhi aur ap chahte hain usey pdf me convert kare to ap ne sab se pehle uska link copy karna hai. Uske ap ne URL wale option pe click kar ke enter kar dena hai.

Ab ap apni file ko convert karne ke baad download bhi kar sakte hain.

3. Ilovepdf - Ye bhi ek best tool hai pdf me change karne ke liye files ko ise use karne bhi baqi ki tarah hi hai is me aisa ko option nahi jo ap ke liye mushkil ho ap is se bohat hi easy files ko pdf me convert kar sakte hain. 

4. Toppdf - Friends ye bhi bohat hi badiya tool hai ap is ka use bhi kar sakte hain ager ap easy samjhe ise tou ap ise hi use kare Ise use karne ke liye Upload Files pe click karna padhta hai aur ap jitni bhi files is me dale ye un sab ko pdf me convert kar ke download kar sakte hain.
5. Sodapdf - Dosto ap is site se bhi bohat hi easy steps me apni sari files ko pdf me convert kar sakte hain. Ager dosto ap app ko download kar ke un ki help se pdf fil me convert karna chahte hain tou bohat se applications mil jaye gi ap ko internet pe ap unhe download kar ke ye kaam easy tarike se kar sakte hain.

Photo Ko PDF File Me Convert Kaise Karte Hain Puri Jaankari

Friends me ne ap ko ye 5 best sites btayi hain ap in ki help se apne photo ko pdf file me bhi convert kar sakte hain ye bohat easy steps me ho jaye ga. 

Step 1:
Sab se pehle jo me ne ap ko sites btayi hai in me se kisi eik ko open kare.

Step 2:
Uske baad ap ne Choose A File pe click karna hai.

Step 3:
Phir ap ke samne 3 options show hunge ap ne un me se Photo Library pe click karna hai.

Step 4: Uske baad ap ne apni photo ko select karna hai jise ap pdf me convert karna chahte hain.

Step 5:
Ab simply ok kar dena hai ab ap ki photo pdf me convert hone me thoda time le gi. 
uske baad ap usey download bhi kar sakte hain apni phone gallery me friends jo me ne ap ko uper sites batayi hain ye bohat hi kamal ki sites hain aur bhi bohat hain lekin mujhe jo best lagi wo me ne ap ke saath share ki ap in sab ko try kar le jo ap ko jyada achi lage usi pe kaam kare. 

Conclusion:

So friends kaisi lagi ap ko hamari ye post mujhe umeed hai dosto ap ko meri ye Mobile Se PDF File Kaise Banaye Puri Jankari Step By Step post achi lagi hogi ager dosto ap ko kuch pochna hai is post ke related aur ap ko is post ki samajh nahi ayi tou comment kar ke poch sakte hain. Aur dosto ap ko hamari ye post achi lagi hai tou comment box me jarur btaye. 

Post a Comment

0 Comments

Friends Apna Comment Add Kare...!

Post a Comment (0)
Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !