Satellite Se Apna Ghar Kaise Deikhe | Internet Par Apna Ghar Deikhne Ki Puri Jankari
Friends jahaan tak baat ki jaye internet ki tou aj ke dour me ye bohat hi fast ja raha hai is ke bohat se benefits bhi hai aur nuksan bhi bohat hain aj ke dour me har ek kaam possible hai internet ki wajah se ap ko btata chalo ke internet se ap wo kuch kar sakte hain jis ka apko andaaza bhi nahi lekin ham is duniya yani ke internet ki duniya se pare hein hume itna internet ke bare me itni jaankari nahi aur jahan tak rahi baat apna ghar deikhne ki wo bhi satellite se tou ye bhi internet ki hi wajah se possible hai.
Isiliye me ne thodi si baat internet ki bhi kar di wo is liye ke sab se main cheez internet hi hai internet ke baghair kuch bhi possible nahi aj hum apne ghar beith kar meelu door logo se bate kar sakte hai wo internet ki wajah se hi hai.
Apna Ghar Kaise Deikhe Internet Pe ?
Friends ager apna ghar deikhna chahte hain tou sab se pehle ap ke paas eik acha sa mobile ka hona jaruri hai aur ap ke internet ki speed bhi fast honi chahiye. Uske baad mein ap ko btata chalu ke ap kya kya deikh sakte hain satellite ki help se.
1. Apne As Pas Ka Area
2. Jis Jagah Ap Hunge Waha Ke Loug (Eik Baat Aur Ke Sab Kuch Ap Ko Clearly Najar Nahi Ayege)
3. Roads Jo Ap Ke As Pas Hunge
4. Ap Traffic Bhi Deikh Sakte Ho
Friends ek baat aur ap ke saath clear karta chalu ke ap apna ghar tou deikh sakte hain lekin ye sab kuch itna clear me najar nahi ane wala kyun ke satellite ki itni range nahi hoti jo full resolution me ap ko sab kuch deikhaye ager friends ap aas paas ka area check karna chahte hain tou ye ap ke aas paas ke area ke naam bhi btaye ga aur ager ap kahin nayi jagah ja rahe hain aur ap ko us ke bare me nahi pata tou bhi ap is tarika se jankari le sakte hain.
Satellite Ki Help Se Apna Ghar Kaise Deikhe ?
Friends chale jaan lete hain ke hum apna aas paas ka area kaise deikhna hai jaise ke me ne ap ko uper btaya hai ke ap ke paas heavy mobile aur internet hona jaruri hai. Chale jante hai ke kaise deikhte hain.
Google Map Se Apna Ghar Kaise Deikhe Friends ap ko pata hi hoga google map ke bare me is pe ap browse bhi kar sakte hain aur iska apna ek app bhi hai ap ne kabhi is ke benefits nahi jane hunge tou friends aj me ap ko btaonga ke is ka use kar ke hum kaise location dhoond sakte hain. Friends is process ko start karne se pehle ap ye deikh le ke ap ke mobile me location wala option on hai ya off ager off hai tou pehle usey on kar lein.
Step 1. Sab se pehle ap ne apna koi sa bhi browser open kar lena hai open karne ke baad ap ne us pe search karna hai My Loaction.
Step 2. Ye search karne ke baad ap ke paas ap ki apni location show ho jaye gi ap ne us pe click kar dena hai. Click Karne ke baad ap ne three lines pe click karna hai.
Step 3. Ab ap ne satellite wale option pe simply click kar dena hai.
Conclusion:
So friends kaisa laga hamara aj ka ye article mujhe umeed hai friends ap ko bohat acha laga hoga ager dosto ap ko mera ye Satellite Se Apna Ghar Kaise Deikhe | Internet Par Apna Ghar Deikhne Ki Puri Jankari article acha laga hai tou please comment me jarur btaye.
Shukriya.
Friends Apna Comment Add Kare...!