ATM Se Paise Kaise Nikale In Pakistan Step By Step

First Learn Then Earn
0
ATM Se Paise Kaise Nikale In Pakistan - Friends aj ke is article me ap ko atm ko use karne ki puri jankari di jaye gi bohat se dosto ke ise use karna nahi ata tou ye Article ap ke liye bohat helpful sabit hoga ager ap ise dehaan se end tak parhe ge tou ap ko is ke bare me ache se samajh ayegi pehle me atm ke basics step ke bare me btaonga aur phir ise use kaise karte hain us ke bare me btaonga.

Friends atm card hume Bank Account banvane ke baad milta hai aur us pe instructions likhi bhi hoti hain lekin usey samjhna thora mushkil hota hai. Lekin me ap ko bilkul easy steps me btaonga ager new user bhi hain tou thora bohat ap ko is ke bare me info pata chal jayegi. Chale friends start karte hain atm ke bare me.

What Is ATM ? ATM Kya Hai In Urdu 

Friends ATM ki full form hoti hai Automated Teller Machine aur is ke benefits bhi bohat zyada hote hain ek tou ye 24 ghante on hoti hai aur hum kisi bhi time is se paise nikaal sakte hain. For example ager ap kahi chale jate hain aur ap ko waha pe paisu ki bohat zarurat parh jati hai tou ap ko iska ye faida hoga ke ap ko naa tou kisi se paise udhaar mangne parhe ge eik hi baar ap ne apne bank account me paise rakhne hunge aur jab bhi ap ko zarurat pare ap nikal sakte hain. Aisa tou ho nahi sakta ke ap aisi jagah chale jaye jaha bank hi nahi bank har jagah hote hai aur har bank me atm zarur hota hai.
What Is ATM ? ATM Kya Hai In Urdu
What Is ATM In Urdu
Is liye friends ye ap ke liye bohat hi faide mand sabit hota hai. Jab bhi ap apna Bank Account banvate hain chahe apka current account hai ya saving account ap ko atm card saath me hi milta hai aur us atm card ko ATM Machine me kaise use karna hai aj ka hamara main topic yahi hai. Friends jaan lete hain ATM Card kya hai?  Aur ye kya kaam karta hai.

ATM Card Kya Hai ? What Is ATM Card In Urdu 

Friends ap ye bhi soch rahe hunge ke ye atm card kya hai? Ye question ap ke mind me zarur ata hoga aur ap ko btata chalo ke aisa card jise hum ATM Machine me use karte hain usey ATM Card kehte hain. Aur credit card aur debit card aur hain in teenu ka apna apna kaam hai abhi tou hum atm card pe hi baat kar rahe hain aur debit card aur credit card ke bare me ager janna hai tou ap muihe comment me bta de me ap ke liye in donu pe detail se post likh dunga. ATM Card ke first pe jo number hota hai wo itna zaruri nahi hota jitna ke apki oin zaruri hoti hai. 

Ager ap pin bhool bhi jate hain tou is me pershani ki baat nahi hoti ap ne simply bank manager ke paas jana hai aur kehna hai mujhe pin yaad nahi hai aur mujhe ek new pin generate kar ke dein. Wo ap ko ek new pin generate kar ke de ga. Lekin koshash kare ap apni pin apne mobile ki note me save kar ke rakhe.

ATM Se Paise Nikalne Ka Tarika In Pakistan Step By Step 

Friends ab hum apne main ropic ki taraf ate hain jo me ne ap ko uoer wale article me information btayi hai vo bhi important thi is liye ap ke saath share kar di. Ab baat kare ge ATM paise kaise nikale Pakistan ke kisi bhi atm se tou ek baat btata chalu ke ager ap new hain tou pershan hone ki is me koi baat nahi hoti. 
ATM Se Paise Nikalne Ka Tarika In Pakistan Step By Step
ATM Se Paise Nikalne Ka Tarika In Pakistan
Ager ap ye samajh rahe he koi masla ho sakta hai tou is me koi masle wali baat nahi hoti ap ne simply atm jana hota hai jo ke har bank ke saath me available hota hai. Ab me jo steps bta raha hun in se ap ki try hori bohat help ho jaye gi.


Step 1:
Sab se pehle tou Ap ne kisi ATM me chale jana hai ap ki city me zarur hoga.

Step 2:
Jaise hi ap ne ATM me jana hai tou ATM Card ko nikaal lena hai yani ke ab sara kaam uska hi hoga.

Step 3:
Ab ap ne sab se pehle apna ATM Card enter karna hai jaha likha hoga enter card, insert card ya sirf card  bhi likha ho sakta hai ap ne enter kar dena hai. Aur ap ne card ke front pe deikhna hai uske uper >  wala option hoga is matlab ap ne is taraf se card enter karna hai.

Step 4:
Phir ap ko atm me language select karna ka option mile ga ager ap english samajh sakte ho tou english ko select kare, ager ap urdu me use karna chahte hain tou urdu select kare.

Step 5:
Phir ap se pin mange ga ap ne apni pin daalni hai uske baad ap ke samne bohat se options show ho jayege.

Step 6:
Ab ap ne jaha Cash Withdraw likha hoga us pe hi click karna hai aur kuch log fast cash pe click kar dete hain us me aise hota hai ke ap ko bundles me paise nikal sakte hain jaise 20,000 etc aur cash withdrawal me ap apni marzi se jitni chahe utne hi nikaal sakte hain.

Step 7:
Jaise hi ap cash withdrawal pe click kare ge atm ap se amount enter karne ko kahe ga ap ne utni hi amount enter karni hai jitni ap nikalna chahte hain.

Step 8:
Ye sab okey hone ke baad ap ki amount kuch seconds me bahir ajaye gi.

Pakistan Me ATM Se Paise Kaise Nikale Full Information

Friends sara yahi process hota hai ATM se paise nikalne ka ek baat aur ke har atm ke functions different hote hain lekin tarika kaar eik hi hota hai jaise ke me ne steps me btaya hai ap ko. Aur ek baat yaad rahe ke ager ap ne kuch galat kar diya paise nikalne me ya phir ap ko samajh nahi arahi ke agey kya kare jab ap paise nikal rahe hun tou ap ne simply cancel wale button pe click kar dena hai aise me ap ka ATM Card bahir ko ajaye ga.

Phir ap usey enter kar ke paise nikaal sakte hain ager ap ne apne atm se eik din me 50,000 nikalna ho tou ap ne usi waqt sari amount enter nahi karni ap ne 25,000 eik baar aur 25,000 card ko dobara enter kar ke nikaal sakte hain. Aur uske baad ap usi bank atm se paise nikale jis me ap ka account bana ho ager ap ka account kahin aur bana hai aur ap kisi aur atm se paise nikal rahe ho tou ap ko tax pare ga.

Conclusion:

So friends kaisi lagi hamari aj ki ye ATM Se Paise Kaise Nikale In Pakistan Step By Step post apko zarur is post se kuch help bhi mili hogi ager ap ke mind me koi question hai tou ap mujh se comment me pouch sakte ho aur mujhe umeed hai apko meri ye post achi lagi hogi tou friends ager achi lagi hai tou comment box me zarur btaye. Aur ager ap apne dost ki help karna chahte hein jise atm ke bare me nahi pata tou ap is post ko share bhi kar sakte hain.

Tags

Post a Comment

0 Comments

Friends Apna Comment Add Kare...!

Post a Comment (0)
Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !