Whatsapp Kaise Use Karte Hain How To Use Whatsapp Complete Guide In Hindi
Dosto ager ap baat kare whatsapp ki tou ye bohat hi popualr app hai jis pe ap calls messages etc kar sakte hain. Ye bilkul bhi free hota hai na whatsapp ap se paise leta hai aur na hi whatsapp ap ko paise deta hai. Ye eik tarah ka free app hai ap is ke bare me thoda bohat jante tou hunge hi lekin me ap ko is ke kuch hidden option ke bare me bhi btaonga. Whatsapp Kaise Use Karte Hain Freinds ap is article ko end tak jarur padhe i hpe ap ko ye acha lage ga. Sab se pehle baat karenge ke ye banta kaise hai yani is pe ap account kis tarike se create kar sakte hain.
Whatsapp Kaise Banate Hain ? Complete Guide In Hindi
Freinds ager hum baat kare ise create karne ki yani ke whatsapp pe account kaise banate hain is ke bare me tou friends is pe ap apna sirf mobile number enter kar ke account banaya jata hai ap is pe gmail ya phir kisi aur tarike se account nahi bana sakte ap is pe sirf mobile number enter kar ke account bana sakte hain.
Account banane ke liye first of all is ke terms and condition ko accept karna hoga. Accept karte hi ap ke samne ek page show hoga. Jis me ap ko apna mobile number enter karna hoga. Enter karte hi ap ke mobile pe ye ek pin generate kar ke bheij de ga. Uskey baad ap ne apne mobile phone ke sms me jana hai wahan ap ko ek pin dikhe gi jo Whatsapp Kaise Banate Hain ke whatsapp ki taraf se apko send ki jaye gi.
Us pin ko ap ne wahaan se copy kar ke jahaan whatsapp ap se pin enter karne ko kahe ga wahan ap ne isey enter kar dena hai. Ye sab karne ke baad ap ke paas ek aur page open hoga jis me ap ko apna name enter karna hoga ap yahan kuch nam enter kar sakte hain.
Whatsapp Use Kaise Use Karte Hain How To Use Whatsapp In Hindi ?
Freinds Account Create karne ke baad ap ke paas ek whatsapp ka page show ho jaye ga. Jaise ke neeche screenshot me ap ko batay gya hai.
Also Read :
• Whatsapp Kaise Download Kare
• Android Mobile Me Whatsapp Kaise Download Kare
• Laptop Me Whatsapp Kaise Download Kare
• Mobile Se Paise Kaise Kamaye
No 1. Friends ap ne ise ache se yaad rakhna hai no 1 wale option me ap apne contact ko add kar sakte hain jin se ap chating karna chahte hain. Jab ap new hunge tou ap ke samne sab kuch khali hoga ap ne no 1 wale option ka use kar ke kisi bhi contact se chat kar sakte hain jo ap ke pas save hoga.• Whatsapp Kaise Download Kare
• Android Mobile Me Whatsapp Kaise Download Kare
• Laptop Me Whatsapp Kaise Download Kare
• Mobile Se Paise Kaise Kamaye
No 2. Number 2option se ap un contacts ko edit kar sakte hain jin se ap chating wagera karte hain.
No 3. Yahaan Se ap kisi bhi number ko search kar sakte hain for example ager ap ke paas 20 se jyada contact save hain aur ap ko unhe search karne me mushkil hoti hai tou ap yahan se unhe search kar sakte hain.
No 4. Number 4 wale option ka use kar ke ap apne liye ek group create kar sakte hain ye sab kaise karte hain neeche chal kar ap ko sab detail me btaonga.
No 5. Yahaa se ap broadcast list bana sakte hain ager ap ke paas 250 se jyada contact hain tou.
No 6. Number 6 wala option hai Status jahaa par ap apna status laga bhi sakte hain aur apne friends ka status deikh bhi sakte hain.
No 7. Number 7 calls wale option se ap ki calls etc ki history show hogi yani jab bhi ap ke number pe koi call ayegi ya jayegi wo sab show hoga.
No 8. Camera wala option se ap apni picture le sakte hain.
No 9. Chat wale option pe ap ki chating show hogi yani ke wo number is option pe show ho rahe hunge jin se ap chating karte hain.
No 10. Number 10 wala option settings ka hai yahaan se ap kisi bhi tarah ki setting karna ho tou is option se kar sakte hain.
Whatsapp Par Status Lagane Ka Tarika Full Detail In Hindi
Friends ager ap whatsapp pe status lagana chahte hain tou me ap ko is ke bare me puri detail se btaonga ke ap apne whatsapp pe status kaise Lagate Hain. jo me ne uper wali screen shot me number 6 wala option btaya hai waha pe ap ne click karna hai click karte hi ap ke pas is tarah ka show hoga.
Whatsapp Par Group Kaise Banate Hain Full Guide In Hindi
Freinds ager ap apna group create karna chahte hain jis ke admin ap khud hun tou me ap ko btata chalo ke group ke liye member ka hona jaruri hai kyun member hun na tou khali group ka kya karna waise tou group eik member se bhi create ho sakta hai lekin ager ap ke pas friends jyada hain aur ap ke pas itna time nahi ke ap sab ko time de sake tou phir Whatsapp Group wala option ap ke liye jaruri hai.
Friends ek whatsapp group kaise banate hain is ke bare me apko puri detail se samjhaonga us se pehle ap se kehna chahun ga ager ap apne friends ke liye group banate hain tou koi masla nahi un pe ap ko pura trust hoga ager ap ye chahte hain ke internationally logu ko ap ne add karna hai tou ap ne us ke liye Description jarur likhna hai jin se unhe pata chal sake ke ap ke group ke kya kya rules hain. Aur admin usey hi bnaye jis pe apko trust ho.
Chale friends start karte hain sab se pehle jo me ne sab se uper wali screenshot me number 4 wala option btaya tha us pe ap ne click karna hai jaha New Group likha hova hai waha par. click karte hi ap ke pas kuch is tarah ka show hoga page.
Whatsapp Pe Wallpaper Kaise Lagaye Full Guide In Hindi
Settings+Chats+Chat Wallpaper Whatsapp Pe Wallpaper Lagane ke liye sab se pehle Settings wale option par click karna hoga jaise hi us pe clcik kare ge tou ap ke samne bohat sare function show hunge lekin ap ne kisi pe nahi click karna ap ne sirf Chats pe click karna hai. Jo ke Acount wale function ke thik neeche hoga. Ab ap ne Chat Wallpaper pe click karna is ke baad Ap ke pas 4 options show ho rahe hunge. Sab se pehla Wallpaper Library is function pe click kar ke koi sa bhi acha wallpaper laga sakte hain yaha par ap ko bohat badiya badiya wallpaper mile ge. Uske baad ata hai Solid Colors is wale option pe ap ko solid colors ke wallpaper mile ge lagane ko.
Phir ata hai function Photos ka yahan se ap apni marzi ka wallpaper laga sakte hain yani ke yaha se ap koi sa bhi wallpaper internet se download kar ke ya phir apki gallrey me jo bhi wallpaper save hai ap yahan se laga sakte hain. Uske baad function ata Reset Wallpaper is option pe click kar ke apne wallpaper ko Reset kar sakte hain. Friends ye wo trick thi jis se ap apni chat pe wallpaper laga sakte hain koi sa bhi.
Whatsapp Ke Photo & Videos Gallery Me Kaise Laye ?
Friends ager ap ye chahte hain ke jo bhi apka dost apko video ya photo bheije tou wo direct apki phone gallery me save ho jaye aur ap ko kuch karna bhi na padhe. Ye ab ap ke hath me hai ap chahe apne friends ki photo ya video gallery me direct bhi save kar sakte hain ya phir ap aisa bhi kar sakte hain ke koi bhi whatsapp pe koi video ya photo bheije tou usey gallery me jane se rok bhi sakte hain. Ye kaise karna hai ye me apko btata hun. Settings + Chats + Save To Camera Roll friends me ap ko is ki detail btata hun sab se pehl ap ne Settings wale option pe click karna hai uske baad ap ne Chats wale option pe click karna hai jaisa ke ap ne wallpaper lagane ke liye kiya tha.
Lekin ab ap ne yahan Chat Wallpaper ke theek neeche wale option pe click karna hai. Jahan pe likha hai Save To Camera Roll ager ye ap ke pas already on hai tou ap ke dost whatsapp pe jo bhi bheje ge wo direct ap ki gallrey me save hoga ager friends ap ye chahte hain ke koi bhi photo ya video apki gallery me save na ho tou ap ne ise disable kar dene hai. Phir ye hoga ke koi bhi video ya photo direct apki gallrey me save nahi hoga jise ap save karna chahe ge sirf usey hi save kar sakte hain.
Ager friends ap ye chahte hain ke koi bhi video ho ya photo direct hi ap ki gallrey me save ho jaye tou ap isey enable bhi kar sakte hain.
Whatsapp Par Last Seen Kaise Chupaye ?
Friends ager ap ye chahte hain ke ap ka last seen koi na deikh sake tou ap ne Settings + Account + Privacy + Last Seen ab me apko detail me btata hun ke ap ne ye sab settings kaise karni hain. Sab se pehle ap ne Settings wale option pe jana hai uske baad ap ne Account wale option pe click karna hai. Uske baad ap ne Privacy wale option pe click karna hai.
Click karte hi ap ke pas Last Seen Profile Photo About Status wale option show ho jaye ge ab ap ne Last Seen wale option pe click karna hai. Click karne ke baad apke paas 3 option show ho jaye ge Everyone My Contact Nobody ager dosto ap apna last seen har kisi ko deikhana chahte hain tou Everyone pe click kare ge ager ap ye chahte he ke ap ka last seen sirf ap ke friends deikhein tou My Contact pe click kare. Ager ap ye chahte hain ke ap ka last seen koi na deikh sake tou ap Nobody pe click kar de.
Whatsapp Pe Lock Lagane Ka Tarika Whatsapp Pe Lock Kaise Lagaye?
Friends ager ap apne whatsapp pe lock lagana chahte hein aur ap ye chahte hain ke ap ka whatsapp ap ke siwa koi dosra na use kare tou sab se pehle ap ne Settings + Account + Privacy + Screen Lock pe click karna hai me ap ko detail me batata hun ager friends ap apne whatsapp pe screen lock lagana chahte hain tou sab se pehle Settings wale option pe click kare uske baad ap ne Account wale option pe click karna hoga.
Phir uske baad ap ne friends Privacy wale function pe click karna hai uske baad ap ne page ko uper ki taraf swipe karna hai isi page ke last me option hoga Screen Lock ka ap ne yaha par click kar ke lock laga sakte hain.
Conclusion:
So friends ap ko mera ye Whatsapp Kaise Use Karte Hain | How To Use Whatsapp Complete Guide In Hindi article kaisa laga mujhe umeed hai apko mera ye article bohat acha laga hoga is article me apko ko Whatsapp Kaise Use Karte Hain puri janakri dene ki koshash ki hai ager phir bhi friends ap ko kisi baat ki samajh nahi ayi tou comment me jarur btaye ager friends apko mera ye article acha laga ho tou bhi mujhe comment kar ke jarur btaye.
Shukriya.
Friends Apna Comment Add Kare...!